zindagi ke hath mein hai aaina TuTa hua
zindagī ke haath meñ hai aa.ina TuuTā huā
aadmī se aadmī kā rābta TuuTā huā
narm-o-nāzuk phuul se chehroñ pe sūraj kī kiran
kis tarah tai kar sakeñge fāsla TuuTā huā
kirchiyāñ bikhre hue ḳhvāboñ kī maiñ chunñe lagā
dekh kar rāhoñ meñ koī naqsh-e-pā TuuTā huā
garm mausam kā na chheḌo zikr is māhaul meñ
aao phir se joḌ leñ vo silsila TuuTā huā
aaj kī duniyā meñ rahbar kī zarūrat hai hameñ
joḌ de shāyad koī phir hausla TuuTā huā
raushnī kā daur hai 'jāved' lekin aaj bhī
mere darvāze pe rakkhā hai diyā TuuTā huā
zindagi ke hath mein hai aaina TuTa hua
aadmi se aadmi ka rabta TuTa hua
narm-o-nazuk phul se chehron pe suraj ki kiran
kis tarah tai kar sakenge fasla TuTa hua
kirchiyan bikhre hue KHwabon ki main chunne laga
dekh kar rahon mein koi naqsh-e-pa TuTa hua
garm mausam ka na chheDo zikr is mahaul mein
aao phir se joD len wo silsila TuTa hua
aaj ki duniya mein rahbar ki zarurat hai hamein
joD de shayad koi phir hausla TuTa hua
raushni ka daur hai 'jawed' lekin aaj bhi
mere darwaze pe rakkha hai diya TuTa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.