Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi ke is safar mein hadisa kuchh bhi nahin

Syed Aasif Dasnavi

zindagi ke is safar mein hadisa kuchh bhi nahin

Syed Aasif Dasnavi

MORE BYSyed Aasif Dasnavi

    zindagī ke is safar meñ hādisa kuchh bhī nahīñ

    TuuT kar bikhre the kitne par huā kuchh bhī nahīñ

    ho gayā nam ḳhud-baḳhud saada lamhoñ varaq

    tujh ko likhnā thā bahut kuchh par likhā kuchh bhī nahīñ

    kaun mujh meñ jheltā hai ḳhāmushī se karb-e-jāñ

    koī andar TūTtā hai par sadā kuchh bhī nahīñ

    kis qadar thā barq-pā ye uḌte lamhoñ safar

    manziloñ gard thī is ke sivā kuchh bhī nahīñ

    dekhte the apnā chehra aks andar aks ham

    har pas-e-manzar meñ 'āsif' kyā milā kuchh bhī nahīñ

    zindagi ke is safar mein hadisa kuchh bhi nahin

    TuT kar bikhre the kitne par hua kuchh bhi nahin

    ho gaya nam KHud-baKHud hi sada lamhon ka waraq

    tujh ko likhna tha bahut kuchh par likha kuchh bhi nahin

    kaun mujh mein jhelta hai KHamushi se karb-e-jaan

    koi andar TuTta hai par sada kuchh bhi nahin

    kis qadar tha barq-pa ye uDte lamhon ka safar

    manzilon ki gard thi is ke siwa kuchh bhi nahin

    dekhte the apna chehra aks andar aks hum

    har pas-e-manzar mein 'asif' kya mila kuchh bhi nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now