zindagi ke kaTahre mein ek be-KHata aadmi ki tarah
zindagī ke kaTahre meñ ik be-ḳhatā aadmī kī tarah
ham muḳhātib hue aap se be-navā aadmī kī tarah
dūriyoñ se ubhartā huā aks tasvīr bantā gayā
guftugū raat kartī thī ham se havā aadmī kī tarah
kaun kyā sochtā hai hamāre ravayyoñ pe sochā nahīñ
umr ham ne guzārī hai ik mubtalā aadmī kī tarah
rauzanoñ tak se koī makīñ jhāñktā ye bhī mumkin na thā
dastakeñ detī phirtī thī bād-e-sabā aadmī kī tarah
zindagi ke kaTahre mein ek be-KHata aadmi ki tarah
hum muKHatib hue aap se be-nawa aadmi ki tarah
duriyon se ubharta hua aks taswir banta gaya
guftugu raat karti thi hum se hawa aadmi ki tarah
kaun kya sochta hai hamare rawayyon pe socha nahin
umr hum ne guzari hai ek mubtala aadmi ki tarah
rauzanon tak se koi makin jhankta ye bhi mumkin na tha
dastaken deti phirti thi baad-e-saba aadmi ki tarah
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 536)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.