zindagi ke mathe par aai jab shikan yaro
zindagi ke mathe par aai jab shikan yaro
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
zindagī ke māthe par aa.ī jab shikan yaaro
sarfarosh uThte haiñ bāñdh kar kafan yaaro
shāḳh sā badan yaaro phuul sā dahan yaaro
koī mujh se pūchhe to us kā bāñkpan yaaro
sāz-e-asr-e-hāzir par naġhma-e-kuhan yaaro
hosh meñ ab aa jaao mere ham-vatan yaaro
gardish-e-zamāna bhī rāhat-e-zamāna bhī
rabt-e-sho.ala-o-shabnam dil kī anjuman yaaro
qatra-qatra ḳhūn-e-dil aañkh se Tapaktā hai
aaj nashtar-e-ġham kī baḌh ga.ī chubhan yaaro
ye jo 'dard' hai ruḳh par ashk-e-ḳhūñ kī laalī hai
bas gayā hai āñkhoñ meñ ek gul-badan yaaro
zindagi ke mathe par aai jab shikan yaro
sarfarosh uThte hain bandh kar kafan yaro
shaKH sa badan yaro phul sa dahan yaro
koi mujh se puchhe to us ka bankpan yaro
saz-e-asr-e-hazir par naghma-e-kuhan yaro
hosh mein ab aa jao mere ham-watan yaro
gardish-e-zamana bhi rahat-e-zamana bhi
rabt-e-shoala-o-shabnam dil ki anjuman yaro
qatra-qatra KHun-e-dil aankh se Tapakta hai
aaj nashtar-e-gham ki baDh gai chubhan yaro
ye jo 'dard' hai ruKH par ashk-e-KHun ki lali hai
bas gaya hai aankhon mein ek gul-badan yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.