zindagi ke shahr mein jab jab ghana saya hua
zindagī ke shahr meñ jab jab ghanā saaya huā
be-karāñ ġham kā samundar aur bhī gahrā huā
'asr-e-nau kī ādmiyyat kā hai bas ye tajziya
ek shīsha hai zamīñ par Tuut kar bikhrā huā
hādsoñ kā lafz muhmal ho gayā hai āj-kal
ek 'ālam hai salīb-o-dār par laTkā huā
ab kisī kirdār par uñglī uThānā hai muhāl
har bashar is daur meñ hai duudh kā dhoyā huā
aa gayā hai kaun mere dard kī dahlīz par
dil ke darvāze pe kis kī yaad kā khaTkā huā
paḌh rahā hai āj-kal vo dāstān-e-zindagī
phir rahā hai is liye har samt ghabrāyā huā
kho gayā 'betāb-kaifī' gumrahī ke dasht meñ
qāfila aksar nishān-e-rāh se bhaTkā huā
zindagi ke shahr mein jab jab ghana saya hua
be-karan gham ka samundar aur bhi gahra hua
'asr-e-nau ki aadmiyyat ka hai bas ye tajziya
ek shisha hai zamin par Tut kar bikhra hua
hadson ka lafz muhmal ho gaya hai aaj-kal
ek 'alam hai salib-o-dar par laTka hua
ab kisi kirdar par ungli uThana hai muhaal
har bashar is daur mein hai dudh ka dhoya hua
aa gaya hai kaun mere dard ki dahliz par
dil ke darwaze pe kis ki yaad ka khaTka hua
paDh raha hai aaj-kal wo dastan-e-zindagi
phir raha hai is liye har samt ghabraya hua
kho gaya 'betab-kaifi' gumrahi ke dasht mein
qafila aksar nishan-e-rah se bhaTka hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.