zindagi ke shikar kitne hain
zindagī ke shikār kitne haiñ
ab bache aur vaar kitne haiñ
ḳhuub hañste the piiTh ke pīchhe
sāmne sogvār kitne haiñ
ham bhī sairāb ho chuke ġham se
ab yahāñ rozgār kitne haiñ
jism kī TuuTī sarhadoñ ke paar
dil ke baaqī dayār kitne haiñ
merī āñkho ke qaid-ḳhāne se
ḳhvāb mere farār kitne haiñ
zindagi ke shikar kitne hain
ab bache aur war kitne hain
KHub hanste the piTh ke pichhe
samne sogwar kitne hain
hum bhi sairab ho chuke gham se
ab yahan rozgar kitne hain
jism ki TuTi sarhadon ke par
dil ke baqi dayar kitne hain
meri aankho ke qaid-KHane se
KHwab mere farar kitne hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.