zindagi ke tilism paDh raha hun
zindagī ke tilism paḌh rahā huuñ
qufl khulne kā ism paḌh rahā huuñ
husn par ba.ad meñ karūñgā baat
maiñ abhī terā jism paḌh rahā huuñ
kyoñ na TūTegā nafratoñ kā fusūñ
maiñ mohabbat kā ism paḌh rahā huuñ
us kī āñkhoñ meñ haiñ chhupe jo raaz
un kā saarā tilism paḌh rahā huuñ
aadmī ke ka.ī haiñ ruup 'sahar'
is liye qism qism paḌh rahā huuñ
zindagi ke tilism paDh raha hun
qufl khulne ka ism paDh raha hun
husn par baad mein karunga baat
main abhi tera jism paDh raha hun
kyon na TuTega nafraton ka fusun
main mohabbat ka ism paDh raha hun
us ki aankhon mein hain chhupe jo raaz
un ka sara tilism paDh raha hun
aadmi ke kai hain rup 'sahar'
is liye qism qism paDh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.