zindagi Khaar hai gulab bhi hai
zindagī ḳhaar hai gulāb bhī hai
zindagī zindagī hai ḳhvāb bhī hai
pyaar gangā kī tarah hai lekin
pyaar sahrāoñ kā sarāb bhī hai
kisī insān kī madad ke liye
jhuuT kā bolnā savāb bhī hai
muskurāhaT to dekh bachchoñ kī
is se behtar koī kitāb bhī hai
is siyāhī pe tū yaqīñ mat kar
is añdhere meñ āftāb bhī hai
chhū ke dil us ne haath ko chūmā
is adā kā koī javāb bhī hai
baat 'svāmī' kī talḳh hai phir bhī
baat socho to lā-javāb bhī hai
zindagi KHar hai gulab bhi hai
zindagi zindagi hai KHwab bhi hai
pyar ganga ki tarah hai lekin
pyar sahraon ka sarab bhi hai
kisi insan ki madad ke liye
jhuT ka bolna sawab bhi hai
muskurahaT to dekh bachchon ki
is se behtar koi kitab bhi hai
is siyahi pe tu yaqin mat kar
is andhere mein aaftab bhi hai
chhu ke dil us ne hath ko chuma
is ada ka koi jawab bhi hai
baat 'swami' ki talKH hai phir bhi
baat socho to la-jawab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.