zindagi Khaar-zar mein guzri
zindagī ḳhār-zār meñ guzrī
justajū-e-bahār meñ guzrī
kuchh to paimān-e-yār meñ guzrī
aur kuchh e'tibār meñ guzrī
manzil-e-zīst ham se sar na huī
yād-e-gesū-e-yār meñ guzrī
phuul giryāñ the har kalī larzāñ
jaane kaisī bahār meñ guzrī
zindagānī tavīl thī lekin
maut ke intizār meñ guzrī
aap se mil ke zindagī apnī
justujū-e-qarār meñ guzrī
jo bhī guzrī burī bhalī 'sānī'
aap ke iḳhtiyār meñ guzrī
zindagi KHar-zar mein guzri
justaju-e-bahaar mein guzri
kuchh to paiman-e-yar mein guzri
aur kuchh e'tibar mein guzri
manzil-e-zist hum se sar na hui
yaad-e-gesu-e-yar mein guzri
phul giryan the har kali larzan
jaane kaisi bahaar mein guzri
zindagani tawil thi lekin
maut ke intizar mein guzri
aap se mil ke zindagi apni
justuju-e-qarar mein guzri
jo bhi guzri buri bhali 'sani'
aap ke iKHtiyar mein guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.