zindagi KHatm bhi hone pe kasak baqi hai
zindagī ḳhatm bhī hone pe kasak baaqī hai
ujḌe ghar meñ tirī sāñsoñ kī mahak baaqī hai
mere hamdam mujhe bedād se mahrūm na kar
dāman-e-rūh meñ zaḳhmoñ kī tapak baaqī hai
mujh ko do chaar ghaḌī aur bhī jiine diije
siskiyoñ kī abhī zaḳhmoñ meñ sanak baaqī hai
aas kī sham.a pighalne ko hai ab to aa jā
raat baaqī hai sitāroñ meñ chamak baaqī hai
maiñ kisī va.ada-farāmosh kā ā.īna huuñ
merī āñkhoñ meñ abhī us kī jhalak baaqī hai
dil-e-zaḳhmī liye baiThā huuñ azīzān-e-kirām
aao kuchh aur chhiḌak do jo namak baaqī hai
zindagi KHatm bhi hone pe kasak baqi hai
ujDe ghar mein teri sanson ki mahak baqi hai
mere hamdam mujhe bedad se mahrum na kar
daman-e-ruh mein zaKHmon ki tapak baqi hai
mujh ko do chaar ghaDi aur bhi jine dije
siskiyon ki abhi zaKHmon mein sanak baqi hai
aas ki shama pighalne ko hai ab to aa ja
raat baqi hai sitaron mein chamak baqi hai
main kisi wada-faramosh ka aaina hun
meri aankhon mein abhi us ki jhalak baqi hai
dil-e-zaKHmi liye baiTha hun azizan-e-kiram
aao kuchh aur chhiDak do jo namak baqi hai
- Book : Sitaron Mein Chamak Baqi Hai (Pg. 70)
- Author : Khalid Fatehpuri
- Publication : Khalid Fatehpuri (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.