Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi khel ke KHadshat mukammal kar de

Shazia Niyazi

zindagi khel ke KHadshat mukammal kar de

Shazia Niyazi

MORE BYShazia Niyazi

    zindagī khel ke ḳhadshāt mukammal kar de

    jiit ko aag lagā maat mukammal kar de

    mujh se mat pūchh vajah mere palaT aane

    yuuñ vidā'ī le mukāfāt mukammal kar de

    ham gunahgār haiñ fitrat ke satā.e hue log

    ham pe baḳhshā.ish-e-āyāt mukammal kar de

    baḳhsh de quvvat-e-parvāz taḳhayyul ko mirī

    ai ḳhudāvand mirī naa't mukammal kar de

    ik tavajjoh se mirī shāḳh ko sarsabz banā

    buḌhāpe ke ye asrāt mukammal kar de

    tujh ko iz.hār-e-mohabbat zarūrat kyā hai

    ek misre’ se vo baat mukammal kar de

    jagmagātā huā ik ḳhvāb sirhāne rakh

    chāñd se shaḳhs mirī raat mukammal kar de

    kaash schōl vo dost mile phir 'shāzī'

    mere parche ke javābāt mukammal kar de

    zindagi khel ke KHadshat mukammal kar de

    jit ko aag laga mat mukammal kar de

    mujh se mat puchh wajah mere palaT aane ki

    yun wida'i le mukafat mukammal kar de

    hum gunahgar hain fitrat ke satae hue log

    hum pe baKHshaish-e-ayat mukammal kar de

    baKHsh de quwwat-e-parwaz taKHayyul ko meri

    ai KHudawand meri na't mukammal kar de

    ek tawajjoh se meri shaKH ko sarsabz bana

    ya buDhape ke ye asraat mukammal kar de

    tujh ko izhaar-e-mohabbat ki zarurat kya hai

    ek misre’ se hi wo baat mukammal kar de

    jagmagata hua ek KHwab sirhane rakh ja

    chand se shaKHs meri raat mukammal kar de

    kash school ka wo dost mile phir 'shazi'

    mere parche ke jawabaat mukammal kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now