zindagi KHud hi halif-e-rah-e-gham hoti hai
zindagī ḳhud hī halīf-e-rah-e-ġham hotī hai
bojh baḌhtā hai to raftār bhī kam hotī hai
os kī buuñd se ḳhvāboñ ko likhā karte haiñ
dhuup kī shakl meñ ta.abīr raqam hotī hai
inkisār āshnā hotā hai anā kā paikar
peḌ ḳham ho ki na ho shāḳh to ḳham hotī hai
ik kasak chuTkiyāñ letī hai azal se dil meñ
ik ḳhalish hai ki jo baḌhtī hai na kam hotī hai
phuul shabnam kī rifāqat hī se paatā hai jilā
aañkh nam ho ke hī shā.ista-e-ġham hotī hai
umr bhar ḳhaak uḌātī hai saroñ par sab ke
yuuñ to kahne ko zamīñ zer-e-qadam hotī hai
zindagi KHud hi halif-e-rah-e-gham hoti hai
bojh baDhta hai to raftar bhi kam hoti hai
os ki bund se KHwabon ko likha karte hain
dhup ki shakl mein tabir raqam hoti hai
inkisar aashna hota hai ana ka paikar
peD KHam ho ki na ho shaKH to KHam hoti hai
ek kasak chuTkiyan leti hai azal se dil mein
ek KHalish hai ki jo baDhti hai na kam hoti hai
phul shabnam ki rifaqat hi se pata hai jila
aankh nam ho ke hi shaista-e-gham hoti hai
umr bhar KHak uDati hai saron par sab ke
yun to kahne ko zamin zer-e-qadam hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.