zindagi KHugar-e-sadmat kahan thi pahle
zindagī ḳhūgar-e-sadmāt kahāñ thī pahle
itnī majbūri-e-hālāt kahāñ thī pahle
merī mushtāq-nigāhī kā karishma hai ye
aap ke husn meñ ye baat kahāñ thī pahle
ye to nairang-tarāzī mire ehsās kī hai
fasl-e-gul bādal-o-barsāt kahāñ thī pahle
sadqa-e-ahl-e-junūñ hai ye bahār-e-gulshan
bū-e-gul maz.har-e-jazbāt kahāñ thī pahle
aap ke ishq ne ma.arūf kiyā hai mujh ko
itnī mash.hūr mirī zaat kahāñ thī pahle
mai-kashī laa.ī hai mujh ko dar-e-mai-ḳhāna tak
varna saaqī se mulāqāt kahāñ thī pahle
phir diyā ranj butoñ ne tumheñ shāyad 'naġhmī'
lab pe din-rāt munājāt kahāñ thī pahle
zindagi KHugar-e-sadmat kahan thi pahle
itni majburi-e-haalat kahan thi pahle
meri mushtaq-nigahi ka karishma hai ye
aap ke husn mein ye baat kahan thi pahle
ye to nairang-taraazi mere ehsas ki hai
fasl-e-gul baadal-o-barsat kahan thi pahle
sadqa-e-ahl-e-junun hai ye bahaar-e-gulshan
bu-e-gul mazhar-e-jazbaat kahan thi pahle
aap ke ishq ne maruf kiya hai mujh ko
itni mashhur meri zat kahan thi pahle
mai-kashi lai hai mujh ko dar-e-mai-KHana tak
warna saqi se mulaqat kahan thi pahle
phir diya ranj buton ne tumhein shayad 'naghmi'
lab pe din-raat munajat kahan thi pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.