zindagi KHwab-o-haqiqat ka safar ho jaise
zindagī ḳhvāb-o-haqīqat kā safar ho jaise
kabhī sat-rang kabhī ḳhāk-basar ho jaise
chāñd kī koī kiran shahr-badar ho jaise
shab kabhī aur kabhī shab kī sahar ho jaise
kis kī aamad hai ki taare hue raushan har sū
kahkashāñ phailī hai yuuñ rāhguzar ho jaise
chāñd ne kis ke liye bhejīñ rū-pahlī kirneñ
chāñdnī chhiTkī hai dāmān-e-guhar ho jaise
chappe chappe pe haiñ ḳhush-rang kañval mahke hue
dil mirā aap kī yādoñ kā nagar ho jaise
zindagi KHwab-o-haqiqat ka safar ho jaise
kabhi sat-rang kabhi KHak-basar ho jaise
chand ki koi kiran shahr-badar ho jaise
shab kabhi aur kabhi shab ki sahar ho jaise
kis ki aamad hai ki tare hue raushan har su
kahkashan phaili hai yun rahguzar ho jaise
chand ne kis ke liye bhejin ru-pahli kirnen
chandni chhiTki hai daman-e-guhar ho jaise
chappe chappe pe hain KHush-rang kanwal mahke hue
dil mera aap ki yaadon ka nagar ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.