zindagi ki aandhi mein zehn ka shajar tanha
zindagī kī āñdhī meñ zehn kā shajar tanhā
tum se kuchh sahārā thā aaj huuñ magar tanhā
zaḳhm-ḳhurda lamhoñ ko maslahat sambhāle hai
an-ginat marīzoñ meñ ek chāragar tanhā
buuñd jab thī bādal meñ zindagī thī halchal meñ
qaid ab sadaf meñ hai ban ke hai guhar tanhā
tum fuzūl bātoñ kā dil pe bojh mat lenā
ham to ḳhair kar leñge zindagī basar tanhā
ik khilaunā jogī se kho gayā thā bachpan meñ
DhūñDtā phirā us ko vo nagar nagar tanhā
jhuTpuTe kā aalam hai jaane kaun aadam hai
ik lahad pe rotā hai muñh ko Dhāñp kar tanhā
zindagi ki aandhi mein zehn ka shajar tanha
tum se kuchh sahaara tha aaj hun magar tanha
zaKHm-KHurda lamhon ko maslahat sambhaale hai
an-ginat marizon mein ek chaaragar tanha
bund jab thi baadal mein zindagi thi halchal mein
qaid ab sadaf mein hai ban ke hai guhar tanha
tum fuzul baaton ka dil pe bojh mat lena
hum to KHair kar lenge zindagi basar tanha
ek khilauna jogi se kho gaya tha bachpan mein
DhunDta phira us ko wo nagar nagar tanha
jhuTpuTe ka aalam hai jaane kaun aadam hai
ek lahad pe rota hai munh ko Dhanp kar tanha
- Book : LAVA (Pg. 107)
- Author : JAVED AKHTAR
- Publication : RAJ KAMAL PARKASHAN (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.