zindagi ki bahaar le ke chale
zindagī kī bahār le ke chale
dāman-e-tār-tār le ke chale
gul-ruḳhān-e-chaman kī mahfil se
sīna-e-sad-figār le ke chale
aah ye ḳhvāb-e-ishq kī ta.abīr
ālam-e-intizār le ke chale
be-qarārī meñ umr guzrī thī
aaj dil kā qarār le ke chale
pā ga.e rāz-e-ḳhanda-e-gul ham
dīda-e-ashk-bār le ke chale
mil ga.ī dād-e-ābla-pā.ī
pursish-e-nok-e-ḳhār le ke chale
zabt-e-ġham kā 'jamāl' hai ye sila
ta.ana-e-ġham-gusār le ke chale
zindagi ki bahaar le ke chale
daman-e-tar-tar le ke chale
gul-ruKHan-e-chaman ki mahfil se
sina-e-sad-figar le ke chale
aah ye KHwab-e-ishq ki tabir
aalam-e-intizar le ke chale
be-qarari mein umr guzri thi
aaj dil ka qarar le ke chale
pa gae raaz-e-KHanda-e-gul hum
dida-e-ashk-bar le ke chale
mil gai dad-e-abla-pai
pursish-e-nok-e-KHar le ke chale
zabt-e-gham ka 'jamal' hai ye sila
tana-e-gham-gusar le ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.