zindagi ki be-tahasha uljhanon ke darmiyan
zindagī kī be-tahāshā uljhanoñ ke darmiyāñ
DhūñD kuchh fursat ke lamhe mushkiloñ ke darmiyāñ
tere alfāz-e-masīhā.ī ne marham rakh diyā
ghir chukī thī zindagī jab hādsoñ ke darmiyāñ
chand kāñTe bhī chubhe lekin mudāvā ho gayā
zindagī kī kuchh gulābī sā'atoñ ke darmiyāñ
mujh ko aayā hī nahīñ tujh se bichhaḌne kā ḳhayāl
ziist ke har pal badalte mausamoñ ke darmiyāñ
tere dil kā khoT terī bevafā.ī kā pata
mil gayā thā vasl kī yaḳh sā'atoñ ke darmiyāñ
ham pai-dar-pai hādsoñ meñ muskurāte kyā bhalā
kuchh ḳhushī ke pal mile jab sānehoñ ke darmiyāñ
mujh ko pal pal yuuñ satāyā rāste kī dhuul ne
saañs tak lenā thā mushkil rāstoñ ke darmiyāñ
zindagī taqsīm ho kar rah ga.ī 'shamsa' mirī
chāhatoñ ke biich behad shohratoñ ke darmiyāñ
zindagi ki be-tahasha uljhanon ke darmiyan
DhunD kuchh fursat ke lamhe mushkilon ke darmiyan
tere alfaz-e-masihai ne marham rakh diya
ghir chuki thi zindagi jab hadson ke darmiyan
chand kanTe bhi chubhe lekin mudawa ho gaya
zindagi ki kuchh gulabi sa'aton ke darmiyan
mujh ko aaya hi nahin tujh se bichhaDne ka KHayal
zist ke har pal badalte mausamon ke darmiyan
tere dil ka khoT teri bewafai ka pata
mil gaya tha wasl ki yaKH sa'aton ke darmiyan
hum pai-dar-pai hadson mein muskuraate kya bhala
kuchh KHushi ke pal mile jab sanehon ke darmiyan
mujh ko pal pal yun sataya raste ki dhul ne
sans tak lena tha mushkil raston ke darmiyan
zindagi taqsim ho kar rah gai 'shamsa' meri
chahaton ke bich behad shohraton ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.