zindagi ki hai zarurat peT bharna chahiye
zindagī kī hai zarūrat peT bharnā chāhiye
peT bharne ke liye kuchh kaam karnā chāhiye
sirf ḳhvāboñ kā hasīñ honā yahāñ kaafī nahīñ
ḳhvāb puurā karne ko had se guzarnā chāhiye
'ishq meñ dil Tuut jaa.e ye to mumkin hai magar
kyā zarūrī Tuut kar sab ko bikharnā chāhiye
jo 'atā kī hai ḳhudā ne zindagī utnī rahe
kyuuñ kisī ko bhī yahāñ be-maut marnā chāhiye
ab sazā kī baat sun ke Dar rahe haiñ aap kyuuñ
aap ko zulm-o-sitam ke vaqt Darnā chāhiye
iltijā karte hue pyāsā parinda mar gayā
ab to dariyā ko hayā se Duub marnā chāhiye
zindagi ki hai zarurat peT bharna chahiye
peT bharne ke liye kuchh kaam karna chahiye
sirf KHwabon ka hasin hona yahan kafi nahin
KHwab pura karne ko had se guzarna chahiye
'ishq mein dil Tut jae ye to mumkin hai magar
kya zaruri Tut kar sab ko bikharna chahiye
jo 'ata ki hai KHuda ne zindagi utni rahe
kyun kisi ko bhi yahan be-maut marna chahiye
ab saza ki baat sun ke Dar rahe hain aap kyun
aap ko zulm-o-sitam ke waqt Darna chahiye
iltija karte hue pyasa parinda mar gaya
ab to dariya ko haya se Dub marna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.