zindagi ki har nafas mein be-kali tere baghair
zindagi ki har nafas mein be-kali tere baghair
Syed Mubeen Alvi Khairabadi
MORE BYSyed Mubeen Alvi Khairabadi
zindagī kī har nafas meñ be-kalī tere baġhair
har ḳhushī lagtī hai dil ko ajnabī tere baġhair
fasl-e-gul ne laakh paidā kī fazā-e-pur-bahār
ġhuncha-e-dil par na aa.ī tāzgī tere baġhair
tishna-kāmī ko mirī sairāb karne ke liye
uThte uThte vo nazar bhī rah ga.ī tere baġhair
koī jalva koī manzar mujh ko bhātā hī nahīñ
chāñd kī sūrat bhī hai be-nūr sī tere baġhair
rah gayā āḳhir sukūñ-nā-āshnā ho kar 'mubīn'
āhaTeñ hone lagīñ haiñ dard kī tere baġhair
zindagi ki har nafas mein be-kali tere baghair
har KHushi lagti hai dil ko ajnabi tere baghair
fasl-e-gul ne lakh paida ki faza-e-pur-bahaar
ghuncha-e-dil par na aai tazgi tere baghair
tishna-kaami ko meri sairab karne ke liye
uThte uThte wo nazar bhi rah gai tere baghair
koi jalwa koi manzar mujh ko bhata hi nahin
chand ki surat bhi hai be-nur si tere baghair
rah gaya aaKHir sukun-na-ashna ho kar 'mubin'
aahaTen hone lagin hain dard ki tere baghair
- Book : Pirahn-e-harf (Pg. 143)
- Author : Mubeen Alvi Khairabadi
- Publication : Mubeen Alvi Khairabadi (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.