zindagi ki jang jari raat din
zindagī kī jang jaarī raat din
dard se yaarī hamārī raat din
raah kāñToñ se bharī kitnī bhī ho
hausloñ se mere haarī raat din
Dar samāyā hai havā meñ is qadar
ḳhauf un kā bhī hai taarī raat din
ann kā daana nahīñ hai peT meñ
ziist lagtī hai ye bhārī raat din
be-hayā kahte haiñ vo kahte raheñ
ḳhuub kartī kaam naarī raat din
ho amīrī yā ġharībī paas meñ
zindagī 'āqib' ye pyārī raat din
zindagi ki jang jari raat din
dard se yari hamari raat din
rah kanTon se bhari kitni bhi ho
hauslon se mere haari raat din
Dar samaya hai hawa mein is qadar
KHauf un ka bhi hai tari raat din
ann ka dana nahin hai peT mein
zist lagti hai ye bhaari raat din
be-haya kahte hain wo kahte rahen
KHub karti kaam nari raat din
ho amiri ya gharibi pas mein
zindagi 'aqib' ye pyari raat din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.