zindagi ki jo qadr-o-qimat hai
zindagī kī jo qadr-o-qīmat hai
sab faqat maut kī badaulat hai
bhā.ī-chāra na dostī na ḳhulūs
sab kī tah meñ koī zarūrat hai
maiñ yaqīnan tirī badaulat huuñ
aur sab kuchh mirī badaulat hai
dahr hai madrasa moallim vaqt
aur hastī kitāb-e-hikmat hai
kitne achchhe haiñ log khul jaa.e
ik bure shaḳhs kī zarūrat hai
tum ḳhudā kī talāsh meñ gum ho
mujh ko insān kī zarūrat hai
kuchh to mauqa-parast haiñ ham bhī
aur kuchh vaqt kī zarūrat hai
mere andar jo shaḳhs hai 'zebā'
us meñ mujh meñ baḌī adāvat hai
zindagi ki jo qadr-o-qimat hai
sab faqat maut ki badaulat hai
bhai-chaara na dosti na KHulus
sab ki tah mein koi zarurat hai
main yaqinan teri badaulat hun
aur sab kuchh meri badaulat hai
dahr hai madrasa moallim waqt
aur hasti kitab-e-hikmat hai
kitne achchhe hain log khul jae
ek bure shaKHs ki zarurat hai
tum KHuda ki talash mein gum ho
mujh ko insan ki zarurat hai
kuchh to mauqa-parast hain hum bhi
aur kuchh waqt ki zarurat hai
mere andar jo shaKHs hai 'zeba'
us mein mujh mein baDi adawat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.