zindagi ki kaifiyat ab ye hai KHas-o-am ki
zindagī kī kaifiyat ab ye hai ḳhās-o-ām kī
sub.h ko hotī hai jo hālat charāġh-e-shām kī
khā rahe haiñ roTiyāñ jo chain se ārām kī
likh rahe haiñ kaifiyat vo gardish-e-ayyām kī
jis meñ sab nange haiñ jo nangā nahīñ vo bhī shumār
aur yahī ik ḳhāsiyat hai apne is hammām kī
chehra-e-hālāt ko achchhī tarah paḌh aur phir
aaj kī duniyā batā rāvan kī hai ki raam kī
āshtī āhistagī zinda-dilī uftādgī
zindagī meñ gar nahīñ to zindagī kis kaam kī
falsafe aur falsafoñ kā hal sabhī mil jā.egā
baiTh fursat se rubā.iyāt paḌh ḳhayyām kī
kis tajassus meñ 'sa.ādat' aur kis tahqīq meñ
sub.h apnī dopahar kī dopahar kī shaam kī
zindagi ki kaifiyat ab ye hai KHas-o-am ki
subh ko hoti hai jo haalat charagh-e-sham ki
kha rahe hain roTiyan jo chain se aaram ki
likh rahe hain kaifiyat wo gardish-e-ayyam ki
jis mein sab nange hain jo nanga nahin wo bhi shumar
aur yahi ek KHasiyat hai apne is hammam ki
chehra-e-haalat ko achchhi tarah paDh aur phir
aaj ki duniya bata rawan ki hai ki ram ki
aashti aahistagi zinda-dili uftadgi
zindagi mein gar nahin to zindagi kis kaam ki
falsafe aur falsafon ka hal sabhi mil jaega
baiTh fursat se rubaiyat paDh KHayyam ki
kis tajassus mein 'saadat' aur kis tahqiq mein
subh apni dopahar ki dopahar ki sham ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.