zindagī kī kitāb dekhtā huuñ
kyā huā intisāb dekhtā huuñ
tum bhī hote ho mere paas magar
maiñ tumhāre hī ḳhvāb dekhtā huuñ
ek chehra hai merī āñkhoñ meñ
kyā gunāh-o-savāb dekhtā huuñ
us kī ta.abīr hai mirā honā
maut ko mahv-e-ḳhvāb dekhtā huuñ
chashm-o-lab guñg haiñ 'alī-yāsir'
sāmne us kā baab dekhtā huuñ
zindagi ki kitab dekhta hun
kya hua intisab dekhta hun
tum bhi hote ho mere pas magar
main tumhaare hi KHwab dekhta hun
ek chehra hai meri aankhon mein
kya gunah-o-sawab dekhta hun
us ki tabir hai mera hona
maut ko mahw-e-KHwab dekhta hun
chashm-o-lab gung hain 'ali-yasir'
samne us ka bab dekhta hun
- Book : Ghazal Bataay Gi (Pg. 35)
- Author : Ali Yasir
- Publication : Ali yasir, Islamabad, Pakistan (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.