zindagi ki rah mein tanhaiyan rakh dega wo
zindagī kī raah meñ tanhā.iyāñ rakh degā vo
apnī yādoñ kī faqat parchhā.iyāñ rakh degā vo
āḳhirī dam tak jo gūñjegī ḳhayāloñ meñ tire
dard kī kuchh is tarah shahnā.iyāñ rakh degā vo
us ke lahje meñ anā aur talḳhiyāñ guftār meñ
kaḌvī bātoñ meñ magar sachchā.iyāñ rakh degā vo
us ko aatā hai mizājoñ ko badalne ka hunar
fitrat-e-bad meñ ka.ī achhā.iyāñ rakh degā vo
muflisī fāqa-kashī dushvāriyoñ kā sāmnā
āzmā.ish ko ye sab kaThnā.iyāñ rakh degā vo
apne tevar aur andāz-e-bayāñ se ai 'nisār'
saade lafzoñ meñ bhī kuchh gahrā.iyāñ rakh degā vo
zindagi ki rah mein tanhaiyan rakh dega wo
apni yaadon ki faqat parchhaiyan rakh dega wo
aaKHiri dam tak jo gunjegi KHayalon mein tere
dard ki kuchh is tarah shahnaiyan rakh dega wo
us ke lahje mein ana aur talKHiyan guftar mein
kaDwi baaton mein magar sachchaiyan rakh dega wo
us ko aata hai mizajon ko badalne ka hunar
fitrat-e-bad mein kai achhaiyan rakh dega wo
muflisi faqa-kashi dushwariyon ka samna
aazmaish ko ye sab kaThnaiyan rakh dega wo
apne tewar aur andaz-e-bayan se ai 'nisar'
sade lafzon mein bhi kuchh gahraiyan rakh dega wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.