zindagi ki rahaton se mawara ho jaega
zindagī kī rāhatoñ se māvarā ho jā.egā
ik libās-e-be-ḳhudī jis ko atā ho jā.egā
ahl-e-duniyā ek din vo vaqt aa.egā zarūr
ye tamanna kā jahāñ yak-dam fanā ho jā.egā
ik ta.alluq hai baqā-e-zāt kā zāmin yahāñ
phuul Tahnī se giregā to fanā ho jā.egā
TuuT jā.egā ye charḳha jism kā chalte hue
aur qaidī qaid se āḳhir rihā ho jā.egā
shab kī tārīkī se jaise phūTtī hai sub.h-e-nau
dard jab had se baḌhegā to davā ho jā.egā
gar yahī aalam rahā aqdār kī tasḳhīr kā
har burā achchhā to har achchhā burā ho jā.egā
'tāj' kah guzreñge us se jo hamāre dil meñ hai
bas ḳhafā ho jā.egā nā aur kyā ho jā.egā
zindagi ki rahaton se mawara ho jaega
ek libas-e-be-KHudi jis ko ata ho jaega
ahl-e-duniya ek din wo waqt aaega zarur
ye tamanna ka jahan yak-dam fana ho jaega
ek talluq hai baqa-e-zat ka zamin yahan
phul Tahni se girega to fana ho jaega
TuT jaega ye charKHa jism ka chalte hue
aur qaidi qaid se aaKHir riha ho jaega
shab ki tariki se jaise phuTti hai subh-e-nau
dard jab had se baDhega to dawa ho jaega
gar yahi aalam raha aqdar ki tasKHir ka
har bura achchha to har achchha bura ho jaega
'taj' kah guzrenge us se jo hamare dil mein hai
bas KHafa ho jaega na aur kya ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.