zindagi ki rahon mein tum ho jalwa-gar tanha
zindagī kī rāhoñ meñ tum ho jalva-gar tanhā
zulmateñ haiñ har jānib sham-e-rahguzar tanhā
sham.a kī tarah ham ne jal ke tā-sahar tanhā
ziist ke añdheroñ meñ tai kiyā safar tanhā
din guzār detā huuñ hans ke bazm-e-rindāñ meñ
zindagī pe rotā huuñ shab ko jaag kar tanhā
saath sab nibhāte haiñ raah meñ masarrat kī
tai sabhī ko karnī hai ġham kī rahguzar tanhā
kis qadar pareshāñ haiñ ahl-e-ishq duniyā meñ
mujh pe rashk karte haiñ mujh ko dekh kar tanhā
rāz-e-ishq duniyā meñ kab kisī ne samjhā hai
ek tum nahīñ 'yaktā' us se be-ḳhabar tanhā
zindagi ki rahon mein tum ho jalwa-gar tanha
zulmaten hain har jaanib sham-e-rahguzar tanha
shama ki tarah hum ne jal ke ta-sahar tanha
zist ke andheron mein tai kiya safar tanha
din guzar deta hun hans ke bazm-e-rindan mein
zindagi pe rota hun shab ko jag kar tanha
sath sab nibhate hain rah mein masarrat ki
tai sabhi ko karni hai gham ki rahguzar tanha
kis qadar pareshan hain ahl-e-ishq duniya mein
mujh pe rashk karte hain mujh ko dekh kar tanha
raaz-e-ishq duniya mein kab kisi ne samjha hai
ek tum nahin 'yakta' us se be-KHabar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.