zindagi ki sharab pani hai
zindagī kī sharāb paanī hai
aur vo bhī ḳharāb paanī hai
jaane vaalī sadī sadā bar-lab
aane vaalā azaab paanī hai
nafratoñ kā badal mohabbat hai
aag kā ik javāb paanī hai
harf-e-bātin bhī harf-e-zāhir bhī
ek aisī kitāb paanī hai
ye samundar samajh nahīñ saktā
ek pyāse kā ḳhvāb paanī hai
ek qatra nahīñ hai āñkhoñ meñ
har taraf be-hisāb paanī hai
zindagi ki sharab pani hai
aur wo bhi KHarab pani hai
jaane wali sadi sada bar-lab
aane wala azab pani hai
nafraton ka badal mohabbat hai
aag ka ek jawab pani hai
harf-e-baatin bhi harf-e-zahir bhi
ek aisi kitab pani hai
ye samundar samajh nahin sakta
ek pyase ka KHwab pani hai
ek qatra nahin hai aankhon mein
har taraf be-hisab pani hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 635)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.