zindagi kis liye guman mein hai
zindagī kis liye gumān meñ hai
chand hī roz is makān meñ hai
jaate jaate lakīr khīñch gayā
kuchh ishāra isī nishān meñ hai
raat tanhā.ī aur terā ġham
umr in ke hī darmiyān meñ hai
faisla kis tarah qubūl karūñ
sāf-goī kahāñ bayān meñ hai
sab ko farhād yaad rahtā hai
ek 'māñjhī' bhī dāstān meñ hai
zindagi kis liye guman mein hai
chand hi roz is makan mein hai
jate jate lakir khinch gaya
kuchh ishaara isi nishan mein hai
raat tanhai aur tera gham
umr in ke hi darmiyan mein hai
faisla kis tarah qubul karun
saf-goi kahan bayan mein hai
sab ko farhad yaad rahta hai
ek 'manjhi' bhi dastan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.