zindagi kis maqam se guzri
zindagī kis maqām se guzrī
hasrat-e-nañg-o-nām se guzrī
ḳhuub aapas meñ jaam Takrā.e
shaam is ehtimām se guzrī
jaane vo the ki merā husn-e-ḳhayāl
ik tajallī sī baam se guzrī
koī rah-rau na koī rahbar thā
justujū jis maqām se guzrī
vādī-e-marg se guzar kar 'naqsh'
ruuh soz-e-davām se guzrī
zindagi kis maqam se guzri
hasrat-e-nang-o-nam se guzri
KHub aapas mein jam Takrae
sham is ehtimam se guzri
jaane wo the ki mera husn-e-KHayal
ek tajalli si baam se guzri
koi rah-rau na koi rahbar tha
justuju jis maqam se guzri
wadi-e-marg se guzar kar 'naqsh'
ruh soz-e-dawam se guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.