zindagi kis moD par le jaegi socha na tha
zindagi kis moD par le jaegi socha na tha
Syed Zafar Kashipurii
MORE BYSyed Zafar Kashipurii
zindagī kis moḌ par le jā.egī sochā na thā
paañv meñ beḌī paḌī thī duur tak rasta na thā
darmiyāñ aa jā.egī merī anā kī maslahat
us se mil kar yuuñ bichhaḌ jā.ūñgā andesha na thā
har taraf thā sāmne nazroñ ke bahr-e-be-karāñ
pyaas merī jo bujhātā ek bhī qatra na thā
kis liye aatā nahīñ mujh ko nazar merā zamīr
ā.inoñ kā aks yaaro is qadar dhuñdlā na thā
zindagī saarī gunāhoñ meñ guzārī ai 'zafar'
log kahte the mujhe achchhā magar achchhā na thā
zindagi kis moD par le jaegi socha na tha
panw mein beDi paDi thi dur tak rasta na tha
darmiyan aa jaegi meri ana ki maslahat
us se mil kar yun bichhaD jaunga andesha na tha
har taraf tha samne nazron ke bahr-e-be-karan
pyas meri jo bujhata ek bhi qatra na tha
kis liye aata nahin mujh ko nazar mera zamir
aainon ka aks yaro is qadar dhundla na tha
zindagi sari gunahon mein guzari ai 'zafar'
log kahte the mujhe achchha magar achchha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.