zindagi kitni aadmi ki hai
zindagī kitnī aadmī kī hai
sach batā.ūñ to do-ghaḌī kī hai
raushnī jaisī harf meñ us ke
saarī tāsīr ḳhush-labī kī hai
kyoñ yahāñ har taraf añdherā hai
mamlikat ye to raushnī kī hai
apne hī ghar meñ rah rahā huuñ magar
ye rihā.ish ik ajnabī kī hai
merī hālat pe dukh to hai us ko
par kamī aañkh meñ namī kī hai
hai jo sāzish mire miTāne kī
ye nahīñ ek kī ka.ī kī hai
tez chal kar bhī chhāñv kyā miltī
dasht meñ dauḌ dhuup hī kī hai
chāñd sūraj hoñ donoñ hāthoñ meñ
ye tamanna to har kisī kī hai
ghūm-phir kar idhar hī aatā huuñ
kashish aisī tirī galī kī hai
ye jo hai mere paas daulat-e-ġham
ye 'atā kī huī usī kī hai
zindagi kitni aadmi ki hai
sach bataun to do-ghaDi ki hai
raushni jaisi harf mein us ke
sari tasir KHush-labi ki hai
kyon yahan har taraf andhera hai
mamlikat ye to raushni ki hai
apne hi ghar mein rah raha hun magar
ye rihaish ek ajnabi ki hai
meri haalat pe dukh to hai us ko
par kami aankh mein nami ki hai
hai jo sazish mere miTane ki
ye nahin ek ki kai ki hai
tez chal kar bhi chhanw kya milti
dasht mein dauD dhup hi ki hai
chand suraj hon donon hathon mein
ye tamanna to har kisi ki hai
ghum-phir kar idhar hi aata hun
kashish aisi teri gali ki hai
ye jo hai mere pas daulat-e-gham
ye 'ata ki hui usi ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.