zindagi ko ek KHwab-e-raegan samjha tha main
zindagī ko ek ḳhvāb-e-rā.egāñ samjhā thā maiñ
be-karāñ tā'bīr hogī ye kahāñ samjhā thā maiñ
rāh-rau guzre chale jaate the rāh-e-zīst par
ik hujūm-e-jism-o-jāñ ko kārvāñ samjhā thā maiñ
itnī nazdīkī ki jaise chhū rahā huuñ ḳhud ko maiñ
harz-e-jāñ hai vo jise vahm-o-gumāñ samjhā thā maiñ
thā bahut saffāk tansīḳh-e-ta.alluq kā fareb
us kā 'ālam hai jise apnā jahāñ samjhā thā maiñ
be-talab āsūda kab hotī hai kisht-e-ārzū
be-gumāñ dil ho rahegā gulsitāñ samjhā thā maiñ
ik tavaqqo' thī ki ye lahja bhī samjhegā koī
chashm-e-ḳhūñ-afshāñ ko andāz-e-bayāñ samjhā thā maiñ
rabt-e-bāham thā faqat lafz-o-bayāñ kā irtibāt
hai koī rasm-e-vafā bhī darmiyāñ samjhā thā maiñ
is qadar mānūs thā fitrat ke lahje kā jamāl
so use apnā suḳhan apnī zabāñ samjhā thā maiñ
ye to haiñ ā.indagāñ kī raushnī ke dā.ere
in ko ab tak apne qadmoñ ke nishāñ samjhā thā maiñ
zindagi ko ek KHwab-e-raegan samjha tha main
be-karan ta'bir hogi ye kahan samjha tha main
rah-rau guzre chale jate the rah-e-zist par
ek hujum-e-jism-o-jaan ko karwan samjha tha main
itni nazdiki ki jaise chhu raha hun KHud ko main
harz-e-jaan hai wo jise wahm-o-guman samjha tha main
tha bahut saffak tansiKH-e-talluq ka fareb
us ka 'alam hai jise apna jahan samjha tha main
be-talab aasuda kab hoti hai kisht-e-arzu
be-guman dil ho rahega gulsitan samjha tha main
ek tawaqqo' thi ki ye lahja bhi samjhega koi
chashm-e-KHun-afshan ko andaz-e-bayan samjha tha main
rabt-e-baham tha faqat lafz-o-bayan ka irtibaat
hai koi rasm-e-wafa bhi darmiyan samjha tha main
is qadar manus tha fitrat ke lahje ka jamal
so use apna suKHan apni zaban samjha tha main
ye to hain aaindagan ki raushni ke daere
in ko ab tak apne qadmon ke nishan samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.