zindagi ko ek rangin dastan samjha tha main
zindagī ko ek rañgīñ dāstāñ samjhā thā maiñ
zindagī bār-e-garāñ hai ye kahāñ samjhā thā maiñ
haañ vahī aañsū Tapak kar kitnā rusvā kar ga.e
jin ko apnā rāzdār-e-be-zabāñ samjhā thā maiñ
un kā dāman thaam kar kitne daraḳhshāñ ho ga.e
mere vo aañsū ki jin ko rā.egāñ samjhā thā maiñ
allāh allāh un ke paa.e naaz kā husn-e-ḳhirām
rahguzar thī un kī jis ko kahkashāñ samjhā thā maiñ
tah-ba-tah zulm-o-sitam kī ik ridā-e-nīl-gūñ
khīñch dī sar par jise haft āsmāñ samjhā thā maiñ
zindagi ko ek rangin dastan samjha tha main
zindagi bar-e-garan hai ye kahan samjha tha main
han wahi aansu Tapak kar kitna ruswa kar gae
jin ko apna raazdar-e-be-zaban samjha tha main
un ka daman tham kar kitne daraKHshan ho gae
mere wo aansu ki jin ko raegan samjha tha main
allah allah un ke pae naz ka husn-e-KHiram
rahguzar thi un ki jis ko kahkashan samjha tha main
tah-ba-tah zulm-o-sitam ki ek rida-e-nil-gun
khinch di sar par jise haft aasman samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.