zindagi ko har ek ka gham hai
zindagī ko har ek kā ġham hai
zindagī har kisī se barham hai
phir vahī maiñ huuñ aur tanhā.ī
phir vahī sardiyoñ kā mausam hai
har jagah zindagī akelī hai
har jagah zindagī kā mātam hai
chār-sū hasratoñ kā sannāTā
ye bhī kaisā 'ajīb 'ālam hai
be-qusūroñ ke ḳhuun se bhar do
in charāġhoñ meñ raushnī kam hai
zindagi ko har ek ka gham hai
zindagi har kisi se barham hai
phir wahi main hun aur tanhai
phir wahi sardiyon ka mausam hai
har jagah zindagi akeli hai
har jagah zindagi ka matam hai
chaar-su hasraton ka sannaTa
ye bhi kaisa 'ajib 'alam hai
be-qusuron ke KHun se bhar do
in charaghon mein raushni kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.