zindagi ko haram mat karna
zindagī ko harām mat karnā
shauq ko be-lagām mat karnā
shohrateñ bhī burī balā.eñ haiñ
in ko tum apne naam mat karnā
ho na jaa.e gumān sajdoñ kā
itnā jhuk kar salām mat karnā
log tujh ko sahal samajhne lageñ
ḳhud ko itnā bhī aam mat karnā
jin se rusvā.iyāñ ho dāman meñ
bhuul kar bhī vo kaam mat karnā
zar-parastoñ se rāh-o-rasm ho par
zehn-o-dil ko ġhulām mat karnā
jis meñ ho zarf kī kamī 'ḳhurshīd'
us kā tum ehtirām mat karnā
zindagi ko haram mat karna
shauq ko be-lagam mat karna
shohraten bhi buri balaen hain
in ko tum apne nam mat karna
ho na jae guman sajdon ka
itna jhuk kar salam mat karna
log tujh ko sahal samajhne lagen
KHud ko itna bhi aam mat karna
jin se ruswaiyan ho daman mein
bhul kar bhi wo kaam mat karna
zar-paraston se rah-o-rasm ho par
zehn-o-dil ko ghulam mat karna
jis mein ho zarf ki kami 'KHurshid'
us ka tum ehtiram mat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.