zindagi ko ek kahani chahiye
zindagī ko ik kahānī chāhiye
ḳhushk dariyā ko ravānī chāhiye
chuum le baḌh kar mirī tahrīr ko
mere lafzoñ ko ma'ānī chāhiye
kāmyābī na mile to na sahī
apnī qismat āzmānī chāhiye
bik rahī hai kauḌiyoñ meñ shā'irī
aap ko qīmat lagānī chāhiye
dekhne ke vāste bazm-e-jahāñ
sharm kā āñkhoñ meñ paanī chāhiye
aa.eñ jab palkoñ ke dastarḳhvān par
āñsuoñ kī mezbānī chāhiye
dūsroñ ke dil meñ rahne ke liye
shā'irī thoḌī sī aanī chāhiye
daad dete ho hamāre 'aib par
aap ko unglī uThānī chāhiye
chhīn le paimāna-e-suqrāt ko
gar hayāt-e-jāvedānī chāhiye
yaar ehsās-e-nadāmat ke liye
kuchh tirī āñkhoñ meñ paanī chāhiye
kaun utrā mere dil ke taur par
har nafas ko lan-tarānī chāhiye
masnad-e-shāhī mubārak aap ko
'dil' ko dil par hukmrānī chāhiye
zindagi ko ek kahani chahiye
KHushk dariya ko rawani chahiye
chum le baDh kar meri tahrir ko
mere lafzon ko ma'ani chahiye
kaamyabi na mile to na sahi
apni qismat aazmani chahiye
bik rahi hai kauDiyon mein sha'iri
aap ko qimat lagani chahiye
dekhne ke waste bazm-e-jahan
sharm ka aankhon mein pani chahiye
aaen jab palkon ke dastarKHwan par
aansuon ki mezbani chahiye
dusron ke dil mein rahne ke liye
sha'iri thoDi si aani chahiye
dad dete ho hamare 'aib par
aap ko ungli uThani chahiye
chhin le paimana-e-suqraat ko
gar hayat-e-jawedani chahiye
yar ehsas-e-nadamat ke liye
kuchh teri aankhon mein pani chahiye
kaun utra mere dil ke taur par
har nafas ko lan-tarani chahiye
masnad-e-shahi mubarak aap ko
'dil' ko dil par hukmrani chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.