zindagi ko ek kahani de gaya
zindagī ko ik kahānī de gayā
ham-safar apnī nishānī de gayā
abr royā āñsuoñ se is qadar
sūkhe dariyā ko bhī paanī de gayā
rakh gayā vīrānī-e-gulshan ko paas
aur mujh ko bāġhbānī de gayā
jāgtī āñkhoñ meñ rakh kar ḳhvāb sā
zindagānī ko ravānī de gayā
būḌhā bargad pī gayā sūraj kī aag
dhuup kaisī sā.ebānī de gayā
apne bachchoñ kī sharārat se lagā
merā bachpan daur-e-sānī de gayā
ab 'zafar' bas ek mausam yaad hai
pyaar kī jo ik nishānī de gayā
zindagi ko ek kahani de gaya
ham-safar apni nishani de gaya
abr roya aansuon se is qadar
sukhe dariya ko bhi pani de gaya
rakh gaya virani-e-gulshan ko pas
aur mujh ko baghbani de gaya
jagti aankhon mein rakh kar KHwab sa
zindagani ko rawani de gaya
buDha bargad pi gaya suraj ki aag
dhup kaisi saebani de gaya
apne bachchon ki shararat se laga
mera bachpan daur-e-sani de gaya
ab 'zafar' bas ek mausam yaad hai
pyar ki jo ek nishani de gaya
- Book : خموش لب (Pg. 45)
- Author : ظفر محمود
- Publication : عرشیہ پبلی کیشنز دہلی۔95 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.