zindagi ko saza samajhte ho
zindagī ko sazā samajhte ho
dard ko lā-davā samajhte ho
maiñ to samjhā thā muḳhtalif ho tum
tum bhī mujh ko burā samajhte ho
maiñ tumhārī talab karūñgā kyā
yaar tum ḳhud ko kyā samajhte ho
ek aañsū bhī bah nahīñ paayā
zabt kī intihā samajhte ho
us ke hāthoñ hī naav Dūbegī
tum jise nāḳhudā samajhte ho
maiñ shikasta bhī huuñ to shīsha huuñ
jaise ik aa.ina samajhte ho
khā rahā huuñ maiñ aarzū kā fareb
āgahī kā sila samajhte ho
zindagi ko saza samajhte ho
dard ko la-dawa samajhte ho
main to samjha tha muKHtalif ho tum
tum bhi mujh ko bura samajhte ho
main tumhaari talab karunga kya
yar tum KHud ko kya samajhte ho
ek aansu bhi bah nahin paya
zabt ki intiha samajhte ho
us ke hathon hi naw Dubegi
tum jise naKHuda samajhte ho
main shikasta bhi hun to shisha hun
jaise ek aaina samajhte ho
kha raha hun main aarzu ka fareb
aagahi ka sila samajhte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.