zindagi ko shoabada samjha tha main
zindagī ko sho.abada samjhā thā maiñ
pattharoñ ko aa.ina samjhā thā maiñ
dhuup kī yūrish thī har ik samt se
sāya-e-dīvār se lipTā thā maiñ
aa.ine hī aa.ine the har taraf
phir bhī apne aap meñ tanhā thā maiñ
hādsoñ se khelne ke bāvajūd
aaj bhī vaisā huuñ kal jaisā thā maiñ
roz zaḳhmī hotā thā merā badan
pattharoñ ke shahr meñ rahtā thā maiñ
'umr-bhar apne ta'āqub meñ 'zafar'
apne hī saa.e se bas uljhā thā maiñ
zindagi ko shoabada samjha tha main
pattharon ko aaina samjha tha main
dhup ki yurish thi har ek samt se
saya-e-diwar se lipTa tha main
aaine hi aaine the har taraf
phir bhi apne aap mein tanha tha main
hadson se khelne ke bawajud
aaj bhi waisa hun kal jaisa tha main
roz zaKHmi hota tha mera badan
pattharon ke shahr mein rahta tha main
'umr-bhar apne ta'aqub mein 'zafar'
apne hi sae se bas uljha tha main
- Book : Adbi gazit (Pg. 161)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Maunath bhanjan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.