zindagī ko ulaT palaT kar dekh
ḳhud ko ik roz ḳhud se kaT kar dekh
kitne manzar ubhar ke ā.eñge
tū zarā darmiyāñ se haT kar dekh
vo hai dariyā to Duub jā us meñ
aur ātish hai to lipaT kar dekh
ye tirī koshishoñ kā hāsil hai
merī barbādiyoñ ko DaT kar dekh
saare raste yahīñ se khulte haiñ
apne andar zarā simaT kar dekh
zindagi ko ulaT palaT kar dekh
KHud ko ek roz KHud se kaT kar dekh
kitne manzar ubhar ke aaenge
tu zara darmiyan se haT kar dekh
wo hai dariya to Dub ja us mein
aur aatish hai to lipaT kar dekh
ye teri koshishon ka hasil hai
meri barbaadiyon ko DaT kar dekh
sare raste yahin se khulte hain
apne andar zara simaT kar dekh
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.