zindagi kya hai muamma hai ki afsana hai
zindagī kyā hai muammā hai ki afsāna hai
har taraf jalva-badāmāñ ruḳh-e-jānāna hai
merā ġham us ke tabassum pe girāñ ho shāyad
jis kī yādoñ se ye dil aaj parī-ḳhāna hai
dil pe us shoḳh kī nāzuk-badanī naqsh huī
jis ke har bol se ābād ye vīrāna hai
pūchhte kaash kabhī ham se butān-e-ḳhud-sar
dil kā kyā haal hai kyoñ haath meñ paimāna hai
kyoñ hai ahbāb se ye aam shikāyat sab ko
kis liye un kā har andāz harīfāna hai
nāsehā baat tirī kyoñ na 'asar' par ho girāñ
jitnā dīvāna hai vo utnā hī farzāna hai
zindagi kya hai muamma hai ki afsana hai
har taraf jalwa-badaman ruKH-e-jaanana hai
mera gham us ke tabassum pe giran ho shayad
jis ki yaadon se ye dil aaj pari-KHana hai
dil pe us shoKH ki nazuk-badani naqsh hui
jis ke har bol se aabaad ye virana hai
puchhte kash kabhi hum se butan-e-KHud-sar
dil ka kya haal hai kyon hath mein paimana hai
kyon hai ahbab se ye aam shikayat sab ko
kis liye un ka har andaz harifana hai
naseha baat teri kyon na 'asar' par ho giran
jitna diwana hai wo utna hi farzana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.