zindagi kya hai tamannaon ka khaara pani
zindagī kyā hai tamannāoñ kā khārā paanī
har koī pī ke yahāñ māñge dobāra paanī
ham haiñ vo jin kī nigāhoñ ne kuchal Daalā furāt
kaun haiñ jin ke laboñ par hai ye na.ara paanī
ka.ī dariyā mirī āñkhoñ se ravāñ hone lage
us ne jab ḳhvāb meñ ik baar pukārā paanī
koī sailāb umaDtā thā ghaḌī se har din
vaqt kī shakl meñ ham ne to guzārā paanī
faisla us ne judā.ī kā sunāyā to lagā
jaise sahrā meñ koī pyaas meñ haarā paanī
is liye log sulagte hī yahāñ karbal meñ
jise miltā hai vo pī letā hai saarā paanī
tishnagī baañT ke har qaum kā rahbar ye kahe
saarī duniyā meñ to bahtā hai hamārā paanī
aaj jazbāt haiñ pyāse sar-e-qirtās 'naved'
kar rahā hai mujhe har lafz ishāra paanī
zindagi kya hai tamannaon ka khaara pani
har koi pi ke yahan mange dobara pani
hum hain wo jin ki nigahon ne kuchal Dala furaat
kaun hain jin ke labon par hai ye nara pani
kai dariya meri aankhon se rawan hone lage
us ne jab KHwab mein ek bar pukara pani
koi sailab umaDta tha ghaDi se har din
waqt ki shakl mein hum ne to guzara pani
faisla us ne judai ka sunaya to laga
jaise sahra mein koi pyas mein haara pani
is liye log sulagte hi yahan karbal mein
jise milta hai wo pi leta hai sara pani
tishnagi banT ke har qaum ka rahbar ye kahe
sari duniya mein to bahta hai hamara pani
aaj jazbaat hain pyase sar-e-qirtas 'nawed'
kar raha hai mujhe har lafz ishaara pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.