zindagi kya yunhi nashad karegi mujhko
Interesting Fact
inspired by Jaun Eliya
zindagī kyā yūñhī nāshād karegī mujh ko
yā kisī moḌ pe ābād karegī mujh ko
yahī duniyā ki jise qadr nahīñ hai merī
yahī duniyā ki bahut yaad karegī mujh ko
maiñ ne kal raat use apnā badan sauñp diyā
vo jo kahtī thī ki barbād karegī mujh ko
us kā dil misl-e-qafas aur vo sayyād-sifat
jaane kab qaid se āzād karegī mujh ko
mar bhī jā.ūñ to mohabbat kī kahānī 'hāshim'
phir na.e naam se ījād karegī mujh ko
zindagi kya yunhi nashad karegi mujh ko
ya kisi moD pe aabaad karegi mujh ko
yahi duniya ki jise qadr nahin hai meri
yahi duniya ki bahut yaad karegi mujh ko
main ne kal raat use apna badan saunp diya
wo jo kahti thi ki barbaad karegi mujh ko
us ka dil misl-e-qafas aur wo sayyaad-sifat
jaane kab qaid se aazad karegi mujh ko
mar bhi jaun to mohabbat ki kahani 'hashim'
phir nae nam se ijad karegi mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.