zindagi kyon hui waqf-e-gham-o-alam na puchh
zindagī kyoñ huī vaqf-e-ġham-o-ālām na pūchh
mujh se ai dost mire ishq kā anjām na pūchh
kaun hai kis ne banā rakkhā hai dīvāna mujhe
ham-nashīñ aql se pahchān magar naam na pūchh
us kī nākām tamanna ko samajh ai sayyād
murġh-e-dil aa gayā kyoñ ḳhud hī tah-e-dām na pūchh
ho ke mahrūm tire lutf-o-karam se ai dost
kis tarah maiñ ne guzāre sahar-o-shām na pūchh
ishq-e-ḳhud.dār kī azmat ko samajh aaj 'mayank'
be-naqāb aa gayā kyoñ koī lab-e-bām na pūchh
zindagi kyon hui waqf-e-gham-o-alam na puchh
mujh se ai dost mere ishq ka anjam na puchh
kaun hai kis ne bana rakkha hai diwana mujhe
ham-nashin aql se pahchan magar nam na puchh
us ki nakaam tamanna ko samajh ai sayyaad
murgh-e-dil aa gaya kyon KHud hi tah-e-dam na puchh
ho ke mahrum tere lutf-o-karam se ai dost
kis tarah main ne guzare sahar-o-sham na puchh
ishq-e-KHuddar ki azmat ko samajh aaj 'mayank'
be-naqab aa gaya kyon koi lab-e-baam na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.