zindagi maine hazaron KHwahishon mein banT di
zindagī maiñ ne hazāroñ ḳhvāhishoñ meñ baañT dī
jaise ik tasvīr TuuTe ā.inoñ meñ baañT dī
ranj-o-ġham ḳhauf-o-aziyyat rat-jage mahrūmiyāñ
dil kī bastī ab hazāroñ bastiyoñ meñ baañT dī
muflisī meñ aur kyā dete bhalā ahbāb ko
dard kī daulat bachī thī dostoñ meñ baañT dī
ab tulūa ho yā na ho sub.h-e-karam kyā fā.eda
maiñ ne shām-e-be-basī tārīkiyoñ meñ baañT dī
jab milā izn-e-rihā.ī zindagī kī qaid se
āḳhirī sāñsoñ kī daulat hasratoñ meñ baañT dī
mere hamsā.e ne jo kutte ko pheñkī thī 'nasīr'
maiñ ne vo roTī uThā kar bachchiyoñ meñ baañT dī
zindagi main ne hazaron KHwahishon mein banT di
jaise ek taswir TuTe aainon mein banT di
ranj-o-gham KHauf-o-aziyyat rat-jage mahrumiyan
dil ki basti ab hazaron bastiyon mein banT di
muflisi mein aur kya dete bhala ahbab ko
dard ki daulat bachi thi doston mein banT di
ab tulua ho ya na ho subh-e-karam kya faeda
main ne sham-e-be-basi tarikiyon mein banT di
jab mila izn-e-rihai zindagi ki qaid se
aaKHiri sanson ki daulat hasraton mein banT di
mere hamsae ne jo kutte ko phenki thi 'nasir'
main ne wo roTi uTha kar bachchiyon mein banT di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.