zindagi manzil-e-mauhum ko pane ki lagan
zindagī manzil-e-mauhūm ko paane kī lagan
maut kahte haiñ jise jehd-e-musalsal kī thakan
kyā hai ye kaifiyat-e-mausam-e-gul-pairāhan
na kahīñ bād-e-bahārī na kahīñ bū-e-suḳhan
yuuñ farozāñ nazar aatī hai mohabbat kī kiran
jaise ik ghor añdhere meñ charāġh-e-raushan
ham jo aa.e haiñ gulistāñ se jhaTak kar dāman
kyā pareshāñ nazar aatī hai nasīm-e-gulshan
jism-e-ādam pe hai zartār libās-e-iḳhlās
ādmiyyat hai magar lāsha-e-be-gor-o-kafan
ab mire naqsh-e-kaf-e-pā haiñ nishān-e-manzil
kaam kuchh aa hī gayā shauq kā dīvāna-pan
ḳhalvat-e-dil meñ ab apnā bhī guzar mushkil hai
Daal dī tere tasavvur ne ye kaisī chilman
kyā kisī ārzū-e-shauq ne dam toḌ diyā
aaj mahsūs-e-rag-e-jāñ hai jo halkī sī chubhan
nigah-e-dost kī begāna-ravī ke sadqe
in dinoñ merī vafā ko hai talāsh-e-dushman
ham sā barbād-e-bahārāñ bhī na hogā koī
na koī shāḳh-e-nasheman na qafas hai na chaman
kyā tamāshā-e-nazar haiñ ye tere dīvāne
kabhī namnāk-nigāhī kabhī abrū pe shikan
ham se kuchh rasm-e-ta’alluq hī nahīñ hai na sahī
phir bhī begāna-e-ehsās-e-ta’alluq to na ban
ham ki begāna-e-arbāb-e-jahāñ haiñ 'aḳhtar'
na koī dost zamāne meñ na koī dushman
zindagi manzil-e-mauhum ko pane ki lagan
maut kahte hain jise jehd-e-musalsal ki thakan
kya hai ye kaifiyat-e-mausam-e-gul-pairahan
na kahin baad-e-bahaari na kahin bu-e-suKHan
yun farozan nazar aati hai mohabbat ki kiran
jaise ek ghor andhere mein charagh-e-raushan
hum jo aae hain gulistan se jhaTak kar daman
kya pareshan nazar aati hai nasim-e-gulshan
jism-e-adam pe hai zartar libas-e-iKHlas
aadmiyyat hai magar lasha-e-be-gor-o-kafan
ab mere naqsh-e-kaf-e-pa hain nishan-e-manzil
kaam kuchh aa hi gaya shauq ka diwana-pan
KHalwat-e-dil mein ab apna bhi guzar mushkil hai
Dal di tere tasawwur ne ye kaisi chilman
kya kisi aarzu-e-shauq ne dam toD diya
aaj mahsus-e-rag-e-jaan hai jo halki si chubhan
nigah-e-dost ki begana-rawi ke sadqe
in dinon meri wafa ko hai talash-e-dushman
hum sa barbaad-e-bahaaran bhi na hoga koi
na koi shaKH-e-nasheman na qafas hai na chaman
kya tamasha-e-nazar hain ye tere diwane
kabhi namnak-nigahi kabhi abru pe shikan
hum se kuchh rasm-e-ta’alluq hi nahin hai na sahi
phir bhi begana-e-ehsas-e-ta’alluq to na ban
hum ki begana-e-arbab-e-jahan hain 'aKHtar'
na koi dost zamane mein na koi dushman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.