zindagi manzil-e-rahat mein basar kya karte
zindagī manzil-e-rāhat meñ basar kyā karte
be-hunar tajziya-e-shām-o-sahar kyā karte
rah ga.e apne hī 'ālam meñ simaT kar ai dost
dil ke luTne kī zamāne ko ḳhabar kyā karte
jin ko manzil kā yaqīñ thā na gumān-e-jāda
vo tahī-dāman-e-ehsās safar kyā karte
rah ga.e dekh ke be-rabtī-e-ahl-e-mahfil
ham ne sochā to bahut kuchh thā magar kyā karte
soz-e-dil dard-e-jigar shor-o-fuġhāñ josh-e-junūñ
in balāoñ ko bhalā ham tire sar kyā karte
dard-mandoñ ne pukārā hameñ har jānib se
ek hī samt meñ ham log safar kyā karte
tū to har daur meñ 'bismil' kī rafīq-e-jāñ thī
ai ġharīb-ul-vatanī tujh se hazar kyā karte
zindagi manzil-e-rahat mein basar kya karte
be-hunar tajziya-e-sham-o-sahar kya karte
rah gae apne hi 'alam mein simaT kar ai dost
dil ke luTne ki zamane ko KHabar kya karte
jin ko manzil ka yaqin tha na guman-e-jada
wo tahi-daman-e-ehsas safar kya karte
rah gae dekh ke be-rabti-e-ahl-e-mahfil
hum ne socha to bahut kuchh tha magar kya karte
soz-e-dil dard-e-jigar shor-o-fughan josh-e-junun
in balaon ko bhala hum tere sar kya karte
dard-mandon ne pukara hamein har jaanib se
ek hi samt mein hum log safar kya karte
tu to har daur mein 'bismil' ki rafiq-e-jaan thi
ai gharib-ul-watani tujh se hazar kya karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.