zindagi maut ki rahin lage
zindagī maut kī rahīn lage
phir bhī duniyā baḌī hasīn lage
ḳhvāhishoñ ke libās meñ rah kar
jism merā mujhe kamīn lage
aa ki us moḌ par chaleñ donoñ
tujh ko maz.hab na mujh ko diin lage
roz-o-shab kī thakāvatoñ kā laal
piiTh se kab mirī zamīn lage
ham hī ḳhud hosh meñ nahīñ haiñ 'ḳhalish'
ye sadī to baḌī zahīn lage
zindagi maut ki rahin lage
phir bhi duniya baDi hasin lage
KHwahishon ke libas mein rah kar
jism mera mujhe kamin lage
aa ki us moD par chalen donon
tujh ko mazhab na mujh ko din lage
roz-o-shab ki thakawaton ka lal
piTh se kab meri zamin lage
hum hi KHud hosh mein nahin hain 'KHalish'
ye sadi to baDi zahin lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.