zindagi maut ko de mat ye na-mumkin hai
zindagī maut ko de maat ye nā-mumkin hai
din guzarne pe na ho raat ye nā-mumkin hai
aap aur tark-e-mulāqāt ye nā-mumkin hai
muñh se kahte haiñ magar baat ye nā-mumkin hai
ḳhūn-e-nāhaq pe zarā soch lo kyā doge javāb
hoñ na mahshar meñ savālāt ye nā-mumkin hai
tapish-e-dil nafas-e-garm pe aañsū kaise
jeTh baisākh meñ barsāt ye nā-mumkin hai
kyoñ bulāte ho unheñ chhoḌo ye zid ai 'shabbīr'
tum se ban jaa.e koī baat ye nā-mumkin hai
zindagi maut ko de mat ye na-mumkin hai
din guzarne pe na ho raat ye na-mumkin hai
aap aur tark-e-mulaqat ye na-mumkin hai
munh se kahte hain magar baat ye na-mumkin hai
KHun-e-nahaq pe zara soch lo kya doge jawab
hon na mahshar mein sawalat ye na-mumkin hai
tapish-e-dil nafas-e-garm pe aansu kaise
jeTh baisakh mein barsat ye na-mumkin hai
kyon bulate ho unhen chhoDo ye zid ai 'shabbir'
tum se ban jae koi baat ye na-mumkin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.