zindagi mein aisa kitni bar hota hai yahan
zindagī meñ aisā kitnī baar hotā hai yahāñ
manziloñ kā rāsta dushvār hotā hai yahāñ
jo safar ke lutf kā andāza kar saktā nahīñ
ḳhush safar meñ rahne se lāchār hotā hai yahāñ
āñdhiyāñ pur-ḳhār raste sañg rokeñ kis tarah
jin ko gulshan kī kalī se pyaar hotā hai yahāñ
apnī qismat se huā shah maat kā har faisla
Dūbtā beḌā kabhī to paar hotā hai yahāñ
ḳhvāb chaknā-chūr hote haiñ bulandī par kabhī
aur jo dekhā nahīñ sākār hotā hai yahāñ
dushmanoñ ke vaar se bhī jān-levā hai kabhī
apnoñ kā begāna-pan bhī dhaar hotā hai yahāñ
zindagi mein aisa kitni bar hota hai yahan
manzilon ka rasta dushwar hota hai yahan
jo safar ke lutf ka andaza kar sakta nahin
KHush safar mein rahne se lachaar hota hai yahan
aandhiyan pur-KHar raste sang roken kis tarah
jin ko gulshan ki kali se pyar hota hai yahan
apni qismat se hua shah mat ka har faisla
Dubta beDa kabhi to par hota hai yahan
KHwab chakna-chur hote hain bulandi par kabhi
aur jo dekha nahin sakar hota hai yahan
dushmanon ke war se bhi jaan-lewa hai kabhi
apnon ka begana-pan bhi dhaar hota hai yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.